Salamat Lyrics – Vish

 Salamat Lyrics. Salamat is the most recent Vish song and music is composed by Karan Kanchan. Salamat Lyrics are penned by Vish. Salamat features Vish. This song was published under the label of KaanPhod Music.

Salamat Song Detail
Song: Salamat
Singer: Vish
Lyrics: Vish
Music: Karan Kanchan
TV Show: MTV Hustle 03
Label: KaanPhod Music
Salamat Lyrics- Vish

Salamat Lyrics- Vish

Inn Aankhon Mein Kyun Dard Hi Dikhai De
Na Sunn Sakun Jo Cheekhein Hi Sunai De
Kasoor Laazmi Hai Toh Kyun Ye Safai De
Nawajishon Ki Raahe Na Dikhai De
Aaja Bhool Chale Beetein Hue Kal
Woh Guzra Zamana Aage Khaye Meetha Phal
Hum Umeed Pe Kayam Mera Jawaab De Vasal
Hum Hustle Mein Busy Hum Poori Kar Rahe Kassar
Mera Aane Wala Kal Meri Banegi Mureed
Abbi Ginti Mein 3 Desi Hiphop Ki Umeed
Hum Chal Padhe Sahi Kya Ye Mera Naseeb
Kya Naye Rappers Aaye Kya Mein Kaat Doon Raseed
What I Mean Tum Samajh Nahi Paoge
Laaoge Tum Kaise Tum Laaoge
Artist Ki Life Kya Tum Gaano Se Milaoge Ya Phir
Chaar Din Ka Fame Leke Kala Ko Nehlaoge
Yakeen Bhi Kaise Kare Jab Kalam Ki Shiyai Ki Nadi Mein
Ye Leke Utre Naav
Hum Gehrai Mein Thae Ghoom Mein Kahan Pe Chala Jaun
Iss Qadar Hum Doob Gaye Saansein Leke Mein Gaun Ya Main Yahi Marr Jaun
Main Bol Ke Chala Jaaunga Dushmani Se Dosti
Dosti Se Dushmani Toh Dost Kyun Banaye
Mere Peeth Peeche Woh Saale Leke Chale Kanjhar
Par Maarne Se Pehle Banne Waqt Ke Sikander
Har Dard Jaise Paani Ki Ghoot
Agar Hoon Main Mujrim Mujhe Kardon Kahi Shoot
Banne Sakt Humne Beat Kari Merge
Lafzon Ke Zariye Chukaun Dardo Ka Karz
Inn Aankhon Mein Kyun Dard Hi Dikhai De
Na Sunn Sakun Jo Cheekhein Hi Sunai De
Kasoor Laazmi Hai Toh Kyun Ye Safai De
Nawajishon Ki Raahe Na Dikhai De
Nikle Lafz Mere Lafzon Mein Shamil Hai
Duniya Zaaleem Na Baaton Mein Zahir Hai
Lage Saal Ratein Jaag Kai Saal Intezaar
Jaani Hum Bhi Taiyaar Humare Versus Taiyaar Haan
Sangeet Mera Vasl Din Raat Mehnat Poori Kar Rahe Hustle
Naa Puchh Tu Khuda Se Hum Kab Honge Kaabil
Dil Mein Haan Gum
Hum Jawaab Dete Hass Kar
Bas Kar Abhi Sapne Ko Sach Kare
Khene Wale 10 Aur Akhri Mein 1 Sune
Hum Chale Sahi Raaste Kyun Log Mera Dard Banne
Lafzon Ke Sang Maine Samjhe Mere Phalsafay
Sach Ko Dekh Hum Kab Thae Udaas
Hum Aakhri Sahi Humein Milte Jawaab
Haan Laazmi Banne Har Kash Mein Nasha
Saare Kasmein Tabah Khuda Sabko Bacha
Bhatak Ke Hum Seekhe Thae
Tareeeke Ye Pheeke Woh Peechhe Hum Aage Thae
Manjeel Bhi Saamney
Na Mukar Ke Kabhi Hum Bhage Thae
Hum Raat Bhar Lyricsm Mein Hi Jaage Thae
Dard Kare Hit Mere Saath Saanp Hi Thae
Hum Kaash Hi Thae
Na Saage Mere Vaaste Ye Mere Raaste Na Kabhi Haafte
Na Kabhi Ruke Na Kalam Mere Kaanpte
Na Awaaz Hai Dawaab Mein Na Din Ke Hote Khwaab
Hum Dil Se Mashoor Ye Kaisa Hai Suroor
Mere Lafzo Ko Jaani Mein Sangeet Mein Bharun
Musibat Hai Saamne Akela Ladun
Kya Dill Mein Rakhun Jab Duniya Hi Qatil Ye
Lafzon Mein Zaheer Ye Baatein Na Baatil Ye
Lahun Se Lafz Tere Samne
Inn Aankhon Mein Kyun Dard Hi Dikhai De
Na Sunn Sakun Jo Cheekhein Hi Sunai De
Kasoor Laazmi Hai Toh Kyun Ye Safai De
Nawajishon Ki Raahe Na Dikhai De
Meri Baaton Ko Likhun Dil Mein Siyaahi Dede
Kalam Meri Ye Saase Hai Duhaai Dede
Gunaah Mere Nirdoshon Ko Rihaayi Dede
Khamoshiyan Hai Ummidon Ko Uchaai Dede
Salamat Music Video

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *